Ramzaan ka Ba-Barkaat waala Mahina hai aur Log Ibaadat me Izaafa Farmaate hai : Jaha Log Taraweeh Aada Karte hai, Toh Aakhiri Shab me Bedaar hokar Tahajjud ka bhi Ahtemaam Karte hai.
Tahajjud aur Taraveeh 2 alag Alag Namaze hai : Iske Dalaail Mulaheza Farmaaye :
1 –Hazrat Umar Al Farooq Rdh. Al Mutawaffa 23 Hij. ka Irshaad e Aali :
Hazrat Ameer ul Momineen Umar bin Khattab Rdh. Al Mutawaffa 23 Hij. Farmaate hai :
Wo Namaz Jisse Tum Sojaate ho (Yaani Tahajjud ki Namaz), wo Isse Afzal hai Jisko tum Qayam Kar rahe ho. (Yaani Taraweeh)
(Saheeh Bukhari : Hadees no 2010)
Scan Page :
صحيح البخاري-بيت الأفكار_Page380
Hazrat Umar Rdh. Taraweeh ke baad Tahajjud ki bhi Targheeb de rahe hai, Jo ke Mustaqil Namaz hai aur Isi riwayat ke Tahet Muhaddiseen ne Taraweeh aur Tahajjud ke Alag Alag hone ki Taraf Ishaara Farmaaya hai :
i – Imam Abul Wali Sulaimaan al Baaji al Qurtubi Rh. Al Mutawaffa 474 Hij. Hazrat Umar rdh. ke Isi Jumle ke tahet Farmaate hai ke Aakhiri Aadhi Raat ka Qiyaam Afzal hai, Pehli aadhi Raat ke qaayim se.
(Al Muntaqa Lil Baaji : Jild 1 : Safa 208)